"Khudi ko kar buland itna, ke har takdeer se pehlay
Khuda bande se khud puche, bata teri raza kiya hai. "
Lakshya na ojhal hone paye kadam mila kar chal,
safalta tere kadam choomegie aaj nahi to kal.
sadhana ka path hai lamba,
aur manzil bahut door,
kar buland apne iraade,
mushkilon ko kar de choor choor
bana sitaron ki pagdandi,
tujhe chand tak jana hai
aur wahan ki banzar dharti,
par ek baag lagana hai
dhikkar sada us yauwan ko
slath shant pada jo sota hai
bekar lahu wah hai jisme
kinchit garmi ka naam nahi
naahaq janma wah jeewan jo
aaya mata ke kaam nahi
kathni karni ka bhed mita
tum bano agni jaise prachand
hon naash tumhari kulshayein,
lipsayein hon sab khand khand
koshishein karti rahoongi, khud ko bachane ki
mujhko meri zindagi ka qatil nahi banna
dhank dein jise samandar ki lahrein ek hi pal mein
wo rate ka sahra, wo sahil nahi banna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment